kisi ko apni kisi ko apni kisi ko apni paDi hui hai
kisī ko apnī kisī ko apnī kisī ko apnī paḌī huī hai
hameñ to le de ke saarī duniyā meñ sirf terī paḌī huī hai
ham apne baare meñ sab savālāt aur logoñ se pūchhte haiñ
hamāre hāthoñ se zindagī kī kitāb ūñchī paḌī huī hai
vo ġhair logoñ kī ġhair dhartī pe paañv ke naqsh kāḌhtā hai
idhar hamāre chanāb kī ret ab bhī suunī paḌī huī hai
bahut pareshāñ huuñ itnī ujlat meñ Thiik chehra nahīñ banegā
maiñ ḳhud ko tartīb de rahā huuñ aur us ko jaldī paḌī huī hai
ye us kī marzī hai jis ko dekhe magar musāvāt se to dekhe
kisī kī rangat dahak rahī hai kisī kī phīkī paḌī huī hai
kisi ko apni kisi ko apni kisi ko apni paDi hui hai
hamein to le de ke sari duniya mein sirf teri paDi hui hai
hum apne bare mein sab sawalat aur logon se puchhte hain
hamare hathon se zindagi ki kitab unchi paDi hui hai
wo ghair logon ki ghair dharti pe panw ke naqsh kaDhta hai
idhar hamare chanab ki ret ab bhi suni paDi hui hai
bahut pareshan hun itni ujlat mein Thik chehra nahin banega
main KHud ko tartib de raha hun aur us ko jaldi paDi hui hai
ye us ki marzi hai jis ko dekhe magar musawat se to dekhe
kisi ki rangat dahak rahi hai kisi ki phiki paDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.