kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha
kisī ko dard sunānā bhī kitnā mushkil thā
mazāq apnā uḌānā bhī kitnā mushkil thā
haqīqatoñ pe hasīñ parda Dālne ke liye
fusūñ kā jaal bichhānā bhī kitnā mushkil thā
kabhī rahā thā jin āñkhoñ kā ban ke surma maiñ
unhīñ se aañkh churānā bhī kitnā mushkil thā
vo lan-tarānī meñ thā mahv aañkh band kiye
so us ko shīsha dikhānā bhī kitnā mushkil thā
guloñ meñ kī vo lagā.ī bujhā.ī sarsar ne
chaman kī laaj bachānā bhī kitnā mushkil thā
'asar' ḳhalal ke sharāre the dasht-o-sahrā meñ
sukūñ kā ḳhema lagānā bhī kitnā mushkil thā
kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha
mazaq apna uDana bhi kitna mushkil tha
haqiqaton pe hasin parda Dalne ke liye
fusun ka jal bichhana bhi kitna mushkil tha
kabhi raha tha jin aankhon ka ban ke surma main
unhin se aankh churana bhi kitna mushkil tha
wo lan-tarani mein tha mahw aankh band kiye
so us ko shisha dikhana bhi kitna mushkil tha
gulon mein ki wo lagai bujhai sarsar ne
chaman ki laj bachana bhi kitna mushkil tha
'asar' KHalal ke sharare the dasht-o-sahra mein
sukun ka KHema lagana bhi kitna mushkil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.