kisi ko dekhte kyun aah rote
kisī ko dekhte kyuuñ aah rote
jo bas chaltā to ham paidā na hote
vo ashk ai dard-e-dil āñkhoñ meñ hote
jo dāġh-e-ma.asiyat dāman se dhote
sahar hone ko aa.ī rote rote
kahīñ vo āstāñ miltā to sote
jhukī jaatī haiñ āñkheñ bār-e-ġham se
kisī āġhosh meñ sar rakh ke sote
nazar dekhā kiye un kī hamesha
yahī hasrat rahī ham jaan khote
'jigar' ham haiñ to ḳhāliq bhī hai koī
na hotā kuchh agar ham hī na hote
kisi ko dekhte kyun aah rote
jo bas chalta to hum paida na hote
wo ashk ai dard-e-dil aankhon mein hote
jo dagh-e-masiyat daman se dhote
sahar hone ko aai rote rote
kahin wo aastan milta to sote
jhuki jati hain aankhen bar-e-gham se
kisi aaghosh mein sar rakh ke sote
nazar dekha kiye un ki hamesha
yahi hasrat rahi hum jaan khote
'jigar' hum hain to KHaliq bhi hai koi
na hota kuchh agar hum hi na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.