Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko hasil faragh-e-hasti koi hai mamnun-e-be-nawai

Muslim Ansari

kisi ko hasil faragh-e-hasti koi hai mamnun-e-be-nawai

Muslim Ansari

MORE BYMuslim Ansari

    kisī ko hāsil farāġh-e-hastī koī hai mamnūn-e-be-navā.ī

    nizām-e-jamhūriyat yahī hai to mere mālik tirī duhā.ī

    chaman meñ afsurdagī vahī hai magar fareb-e-nazar to dekho

    kahīñ jo do ġhunche muskurā.e to ham ne samjhā bahār aa.ī

    hazār badlā kare zamāna sau inqalāb aa.eñ fā.eda kyā

    miTī na jab un be-niyāzī ga.ī na jab apnī jab.ha-sā.ī

    ḳhulūs-e-dil hai agar salāmat miTegī ik roz ye kashākash

    tumheñ mirā naġhma-e-mohabbat karegā majbūr-e-ham-navā.ī

    mujhe mohabbat ne aisī manzil pe aaj pahūñchā diyā hai 'muslim'

    ki dhaḌkaneñ dil baḌh ke ḳhud kar rahī haiñ ab merī rahnumā.ī

    kisi ko hasil faragh-e-hasti koi hai mamnun-e-be-nawai

    nizam-e-jamhuriyat yahi hai to mere malik teri duhai

    chaman mein afsurdagi wahi hai magar fareb-e-nazar to dekho

    kahin jo do ghunche muskurae to hum ne samjha bahaar aai

    hazar badla kare zamana sau inqalab aaen faeda kya

    miTi na jab un ki be-niyazi gai na jab apni jabha-sai

    KHulus-e-dil hai agar salamat miTegi ek roz ye kashakash

    tumhein mera naghma-e-mohabbat karega majbur-e-ham-nawai

    mujhe mohabbat ne aisi manzil pe aaj pahuncha diya hai 'muslim'

    ki dhaDkanen dil ki baDh ke KHud kar rahi hain ab meri rahnumai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now