kisi ko husn kisi ko ada nahin deta
kisī ko husn kisī ko adā nahīñ detā
kamāl sab ko ḳhudā ek sā nahīñ detā
ajiib shaḳhs hai bhaTke hue musāfir ko
pata to detā hai par rāsta nahīñ detā
ye sab hamāre hī kamāl kā natīja hai
ḳhudā kisī ko kabhī ḳhud sazā nahīñ detā
use kisī bhī vasīle kī kyā zarūrat hai
vo hāl-e-dil mujhe ḳhud kyuuñ batā nahīñ detā
ye bad-gumāniyāñ achchhī nahīñ kisī ke liye
tū bad-duā bhī na de gar duā nahīñ detā
ye daur daur-e-mobile hai ab yahāñ insāñ
tamāsha dekhtā hai aasrā nahīñ detā
ye 'mehrbān' bhī hijrat qubūl kar letā
vo mujh ko apnā agar vāsta nahīñ detā
kisi ko husn kisi ko ada nahin deta
kamal sab ko KHuda ek sa nahin deta
ajib shaKHs hai bhaTke hue musafir ko
pata to deta hai par rasta nahin deta
ye sab hamare hi kamal ka natija hai
KHuda kisi ko kabhi KHud saza nahin deta
use kisi bhi wasile ki kya zarurat hai
wo haal-e-dil mujhe KHud kyun bata nahin deta
ye bad-gumaniyan achchhi nahin kisi ke liye
tu bad-dua bhi na de gar dua nahin deta
ye daur daur-e-mobile hai ab yahan insan
tamasha dekhta hai aasra nahin deta
ye 'mehrban' bhi hijrat qubul kar leta
wo mujh ko apna agar wasta nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.