kisi ko ishq mein dhoka dikhai deta hai
kisī ko ishq meñ dhokā dikhā.ī detā hai
hameñ to yaar kā chehra dikhā.ī detā hai
mujhe kyā ho gayā kyuuñ ho gayā dīvāna maiñ
ki har taraf tirā saaya dikhā.ī detā hai
tumheñ batā.egā ik dard kī kahānī koī
jo mere haath meñ parcha dikhā.ī detā hai
mujhe to daulat-o-shohrat kī koī aas nahīñ
ye tere ishq meñ adnā dikhā.ī detā hai
kisi ko ishq mein dhoka dikhai deta hai
hamein to yar ka chehra dikhai deta hai
mujhe kya ho gaya kyun ho gaya diwana main
ki har taraf tera saya dikhai deta hai
tumhein bataega ek dard ki kahani koi
jo mere hath mein parcha dikhai deta hai
mujhe to daulat-o-shohrat ki koi aas nahin
ye tere ishq mein adna dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.