kisi ko jang mein yun bhi harana paDta hai
kisī ko jang meñ yuuñ bhī harānā paḌtā hai
ki ḳhud hī tiir pe jā kar nishāna paḌtā hai
tumheñ to shahr meñ bas ānā-jānā paḌtā hai
hameñ ye ranj musalsal uThānā paḌtā hai
suḳhan-sarā.ī faqat shaġhl-e-vāh-vāh nahīñ
hameñ to Tuut ke ḳhud ko banānā paḌtā hai
lahū meñ nāchtī rahtī hai mustaqil koī shai
aur us kā saath hameñ bhī nibhānā paḌtā hai
kabhī vo mujh se ḳhayāloñ meñ ruuTh jaatā hai
phir us ko ḳhvāb meñ jā kar manānā paḌtā hai
chhupā.e rakkhoge kab tak dil-o-dimāġh kā haal
mushā.era hai yahāñ to sunānā paḌtā hai
ye 'ahd-e-bad-gumāñ qisse kahāniyoñ kā nahīñ
yahāñ to mo'jiza kar ke dikhānā paḌtā hai
kisī muhīb añdhere kī qabr hai shāyad
jahāñ charāġh musalsal jalānā paḌtā hai
paTaḳh diyā gayā lā kar mujhe yahāñ 'maz.har'
maiñ kyoñ yahāñ huuñ mujhe ḳhud batānā paḌtā hai
kisi ko jang mein yun bhi harana paDta hai
ki KHud hi tir pe ja kar nishana paDta hai
tumhein to shahr mein bas aana-jaana paDta hai
hamein ye ranj musalsal uThana paDta hai
suKHan-sarai faqat shaghl-e-wah-wah nahin
hamein to Tut ke KHud ko banana paDta hai
lahu mein nachti rahti hai mustaqil koi shai
aur us ka sath hamein bhi nibhana paDta hai
kabhi wo mujh se KHayalon mein ruTh jata hai
phir us ko KHwab mein ja kar manana paDta hai
chhupae rakkhoge kab tak dil-o-dimagh ka haal
mushaera hai yahan to sunana paDta hai
ye 'ahd-e-bad-guman qisse kahaniyon ka nahin
yahan to mo'jiza kar ke dikhana paDta hai
kisi muhib andhere ki qabr hai shayad
jahan charagh musalsal jalana paDta hai
paTaKH diya gaya la kar mujhe yahan 'mazhar'
main kyon yahan hun mujhe KHud batana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.