kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai
kisī ko kyā agar jaib-o-garebāñ par hañsī aa.ī
ki mujh ko ḳhud mire hāl-e-pareshāñ par hañsī aa.ī
kisī ke sheva-e-be-e'tinā.ī par lahū royā
kisī kī pursish-e-hāl-e-pareshāñ par hañsī aa.ī
milā manzil-ba-manzil kuchh na juz āġhāz-e-manzil ke
ma.āl-e-justajū-e-umr-e-jaulāñ par hañsī aa.ī
kabhī jab māvarā-e-ālam-e-imkāñ nazar pahūñchī
bahut kotāh-dāmānī-e-imkāñ par hañsī aa.ī
sharāb-e-zindagī kā āḳhirī ghūñT uf are tauba
kahāñ nākāmī-e-tadbīr-e-insāñ par hañsī aa.ī
haqīqat dīn-o-duniyā kī samajh meñ aa ga.ī jis dam
na pūchho kitnī bahs-e-kufr-o-īmāñ par hañsī aa.ī
havā itnī thī lekin chand sāñsoñ kā thā afsāna
hayāt-o-maut ke rangīn unvāñ par hañsī aa.ī
ulū-e-fikr ne har auj ko zer-e-nazar paayā
nigāh-e-ġhaur kar har rāz-e-pinhāñ par hañsī aa.ī
kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai
ki mujh ko KHud mere haal-e-pareshan par hansi aai
kisi ke shewa-e-be-e'tinai par lahu roya
kisi ki pursish-e-haal-e-pareshan par hansi aai
mila manzil-ba-manzil kuchh na juz aaghaz-e-manzil ke
maal-e-justaju-e-umr-e-jaulan par hansi aai
kabhi jab mawara-e-alam-e-imkan nazar pahunchi
bahut kotah-damani-e-imkan par hansi aai
sharab-e-zindagi ka aaKHiri ghunT uf are tauba
kahan nakaami-e-tadbir-e-insan par hansi aai
haqiqat din-o-duniya ki samajh mein aa gai jis dam
na puchho kitni bahs-e-kufr-o-iman par hansi aai
hawa itni thi lekin chand sanson ka tha afsana
hayat-o-maut ke rangin unwan par hansi aai
ulu-e-fikr ne har auj ko zer-e-nazar paya
nigah-e-ghaur kar har raaz-e-pinhan par hansi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.