kisi ko pyar kisi ko jalal deta hai
kisī ko pyaar kisī ko jalāl detā hai
ḳhushī kisī ko kisī ko malāl detā hai
har ek ashk masarrat meñ Dhaal detā hai
vo ġham bhī de to mujhe be-misāl detā hai
kahāñ kahāñ nahīñ pahuñchā tirā payām-e-latīf
azaañ jagah jagah ab bhī bilāl detā hai
hujūm-e-ġham se na ghabrā ḳhudā muhāfiz hai
balā bhī sar pe jo aa.e to Taal detā hai
be-e'tinā.ī kā ab us kī kyā gila 'zāhid'
savāl-e-vasl pe hañs hañs ke Taal detā hai
kisi ko pyar kisi ko jalal deta hai
KHushi kisi ko kisi ko malal deta hai
har ek ashk masarrat mein Dhaal deta hai
wo gham bhi de to mujhe be-misal deta hai
kahan kahan nahin pahuncha tera payam-e-latif
azan jagah jagah ab bhi bilal deta hai
hujum-e-gham se na ghabra KHuda muhafiz hai
bala bhi sar pe jo aae to Tal deta hai
be-e'tinai ka ab us ki kya gila 'zahid'
sawal-e-wasl pe hans hans ke Tal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.