kisi ko raj-dulare fareb dete rahe
kisī ko rāj-dulāre fareb dete rahe
kisī ko jaan se pyāre fareb dete rahe
yaqīn miltā rahā thartharāte hoñToñ se
magar nazar ke ishāre fareb dete rahe
tamām raat meñ chaltā rahā huuñ kāñToñ par
tamām raat sitāre fareb dete rahe
kañval khilā thā mohabbat kā jis ke paanī par
vo jhiil us ke kināre fareb dete rahe
sarāb bantā gayā pal meñ har hasīñ manzar
mujhe to saare nazāre fareb dete rahe
vafā na kartā agar ik hasīñ to baat bhī thī
'asad' ko saare ke saare fareb dete rahe
kisi ko raj-dulare fareb dete rahe
kisi ko jaan se pyare fareb dete rahe
yaqin milta raha thartharaate honTon se
magar nazar ke ishaare fareb dete rahe
tamam raat mein chalta raha hun kanTon par
tamam raat sitare fareb dete rahe
kanwal khila tha mohabbat ka jis ke pani par
wo jhil us ke kinare fareb dete rahe
sarab banta gaya pal mein har hasin manzar
mujhe to sare nazare fareb dete rahe
wafa na karta agar ek hasin to baat bhi thi
'asad' ko sare ke sare fareb dete rahe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 584)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.