kisi ko sochna dil ka gudaz ho jaana
kisī ko sochnā dil kā gudāz ho jaanā
havā kī chheḌ se pattoñ kā saaz ho jaanā
kabhī vo guftugū jaise ki kuchh chhupā hī nahīñ
kabhī vo boltī āñkhoñ kā raaz ho jaanā
baḌhānā haath pakaḌne ko rañg muTThī meñ
to titliyoñ ke paroñ kā darāz ho jaanā
kabhī to ġhaflateñ sajdoñ meñ aur kabhī yuuñ bhī
ki us ko soch hī lenā namāz ho jaanā
vo Dūbtā huā sūraj vo kārvāñ kā ġhubār
haqīqatoñ kā bhī pal meñ majāz ho jaanā
kivāḌ khulte hoñ jaise kisī ḳhazāne ke
vo ḳhvāb ḳhvāb sī āñkhoñ kā baaz ho jaanā
kisi ko sochna dil ka gudaz ho jaana
hawa ki chheD se patton ka saz ho jaana
kabhi wo guftugu jaise ki kuchh chhupa hi nahin
kabhi wo bolti aankhon ka raaz ho jaana
baDhana hath pakaDne ko rang muTThi mein
to titliyon ke paron ka daraaz ho jaana
kabhi to ghaflaten sajdon mein aur kabhi yun bhi
ki us ko soch hi lena namaz ho jaana
wo Dubta hua suraj wo karwan ka ghubar
haqiqaton ka bhi pal mein majaz ho jaana
kiwaD khulte hon jaise kisi KHazane ke
wo KHwab KHwab si aankhon ka baz ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.