kisi lai mein kisi bhi tal mein hum
kisī lai meñ kisī bhī taal meñ ham
rahe sur meñ magar dhamāl meñ ham
bhale bā-hosh the yā vajd meñ the
tujhe bhūle nahīñ har haal meñ ham
the garche vajd ke 'ālam meñ duniyā
nahīñ uljhe tire janjāl meñ ham
kabhī pahuñche tire bā'is sar-e-‘arsh
kabhī paa.e ga.e pātāl meñ ham
samajh paayā nahīñ kuchh bhī zamāna
rahe kuchh aise hāl-o-qāl meñ ham
hameñ samjhā gayā aadhā adhūrā
bhale the hālat-e-ikmāl meñ ham
nahīñ 'tasnīm' mustaqbil hamārā
mileñge māzī-e-pāmāl meñ ham
kisi lai mein kisi bhi tal mein hum
rahe sur mein magar dhamal mein hum
bhale ba-hosh the ya wajd mein the
tujhe bhule nahin har haal mein hum
the garche wajd ke 'alam mein duniya
nahin uljhe tere janjal mein hum
kabhi pahunche tere ba'is sar-e-‘arsh
kabhi pae gae patal mein hum
samajh paya nahin kuchh bhi zamana
rahe kuchh aise haal-o-qal mein hum
hamein samjha gaya aadha adhura
bhale the haalat-e-ikmal mein hum
nahin 'tasnim' mustaqbil hamara
milenge mazi-e-pamal mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.