kisi maqam se guzre nahin phisalta hai
kisī maqām se guzre nahīñ phisaltā hai
jo haq-parastoñ ke naqsh-e-qadam pe chaltā hai
sunā hai karne lagā hai vo raushnī taqsīm
mire charāġh se jis kā charāġh jaltā hai
fazā-e-zīst pe chhā.ī huī hai tārīkī
bahut dinoñ se ye manzar nahīñ badaltā hai
bisāt itnī kahāñ hai jo chheḌeñ sūraj ko
in āñdhiyoñ kā diyoñ par hī zor chaltā hai
tumhāre zulm pe chup huuñ ye zarf hai merā
ubalne ko to mirā bhī lahū ubaltā hai
hameñ na kījiye majbūr hijratoñ ke liye
daraḳht apnā Thikāna nahīñ badaltā hai
ḳhudā hī hāmī-o-nāsir hai us kā ai 'ālam'
jo khā ke bārhā Thokar nahīñ sañbhaltā hai
kisi maqam se guzre nahin phisalta hai
jo haq-paraston ke naqsh-e-qadam pe chalta hai
suna hai karne laga hai wo raushni taqsim
mere charagh se jis ka charagh jalta hai
faza-e-zist pe chhai hui hai tariki
bahut dinon se ye manzar nahin badalta hai
bisat itni kahan hai jo chheDen suraj ko
in aandhiyon ka diyon par hi zor chalta hai
tumhaare zulm pe chup hun ye zarf hai mera
ubalne ko to mera bhi lahu ubalta hai
hamein na kijiye majbur hijraton ke liye
daraKHt apna Thikana nahin badalta hai
KHuda hi hami-o-nasir hai us ka ai 'alam'
jo kha ke barha Thokar nahin sanbhalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.