kisi mariz ki chaaragari na kar pae
kisī marīz kī chāragarī na kar paa.e
ye ghar bhī duur mirī be-gharī na kar paa.e
maiñ kyā karūñ ki tasallut ḳhamīr meñ hī na thā
tamām umr koī naukrī na kar paa.e
shab-e-visāl guzārī udaas rahte hue
daraḳht bhī mirī duniyā harī na kar paa.e
ġhazal vahī hai jo qaarī kā dil hilā Daale
vakīl kyā hai jo mulzim barī na kar paa.e
hunar kā rabt riyāzat se hai atā se nahīñ
hasīn log kabhī dilbarī na kar paa.e
fa.uul fe.al mafā'īl kar liyā lekin
'arūziyoñ kī qasam shā.erī na kar paa.e
batāo dahriyoñ se kyā munāzra karoge
vahābiyoñ ko to tum qādrī na kar paa.e
har ek chiiz ko had meñ rakhā gayā 'hamza'
mubālġhe meñ bhī us ko parī na kare paa.e
kisi mariz ki chaaragari na kar pae
ye ghar bhi dur meri be-ghari na kar pae
main kya karun ki tasallut KHamir mein hi na tha
tamam umr koi naukri na kar pae
shab-e-visal guzari udas rahte hue
daraKHt bhi meri duniya hari na kar pae
ghazal wahi hai jo qari ka dil hila Dale
wakil kya hai jo mulzim bari na kar pae
hunar ka rabt riyazat se hai ata se nahin
hasin log kabhi dilbari na kar pae
faul feal mafa'il kar liya lekin
'aruziyon ki qasam shaeri na kar pae
batao dahriyon se kya munazra karoge
wahabiyon ko to tum qadri na kar pae
har ek chiz ko had mein rakha gaya 'hamza'
mubaalghe mein bhi us ko pari na kare pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.