kisi na-fahm se izhaar-e-tamanna karna
kisī nā-fahm se iz.hār-e-tamannā karnā
apnī ḳhāmosh mohabbat ko hai rusvā karnā
hai abhī der ki ho aql sharīk-e-jazbāt
shauq ko hai abhī mātam tan-e-tanhā karnā
khul sakī ham se na ab tak ġham-e-jānāñ kī girah
abhī baaqī hai ilāj-e-ġham-e-duniyā karnā
ab ye gesū haiñ jo āshufta to kis kā hai qusūr
ham ne to chhoḌ diyā arz-e-tamannā karnā
zulf kī chhāñv meñ ārām kiyā chal niklā
ik musāfir pe na thā tum ko bharosa karnā
kuchh kashish merī nazar ko bhī atā kar ai dost
tere bikhre hue jalvoñ ko hai yakjā karnā
tum ko 'ehsān' mubārak ho ye andāz-e-‘jamīl’
rang apnā bhī magar chāhiye paidā karnā
kisi na-fahm se izhaar-e-tamanna karna
apni KHamosh mohabbat ko hai ruswa karna
hai abhi der ki ho aql sharik-e-jazbaat
shauq ko hai abhi matam tan-e-tanha karna
khul saki hum se na ab tak gham-e-jaanan ki girah
abhi baqi hai ilaj-e-gham-e-duniya karna
ab ye gesu hain jo aashufta to kis ka hai qusur
hum ne to chhoD diya arz-e-tamanna karna
zulf ki chhanw mein aaram kiya chal nikla
ek musafir pe na tha tum ko bharosa karna
kuchh kashish meri nazar ko bhi ata kar ai dost
tere bikhre hue jalwon ko hai yakja karna
tum ko 'ehsan' mubarak ho ye andaz-e-‘jamil’
rang apna bhi magar chahiye paida karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.