kisi ke nam ko likhte hue miTate hue
kisī ke naam ko likhte hue miTāte hue
tamām-rāt kaTī ḳhud ko āzmāte hue
kahā ye raat ne mujh se mujhe sulāte hue
tū thak ga.ī hai bahut hāl-e-dil sunāte hue
maiñ kyuuñ sameT nahīñ paatī huuñ kabhī us ko
bikhar rahā hai jo har-pal mujhe sajāte hue
ye chāhtī thī ki maiñ tai karūñ safar us kā
jo thak gayā hai mirā hausla baḌhāte hue
zamāna laakh use kostā rahe phir bhī
bahār janmā hamesha ḳhizāñ ne jaate hue
kisi ke nam ko likhte hue miTate hue
tamam-raat kaTi KHud ko aazmate hue
kaha ye raat ne mujh se mujhe sulate hue
tu thak gai hai bahut haal-e-dil sunate hue
main kyun sameT nahin pati hun kabhi us ko
bikhar raha hai jo har-pal mujhe sajate hue
ye chahti thi ki main tai karun safar us ka
jo thak gaya hai mera hausla baDhate hue
zamana lakh use kosta rahe phir bhi
bahaar janma hamesha KHizan ne jate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.