kisi nashshe se beshtar to na tha
kisī nashshe se beshtar to na thā
rishta-e-ġham bhī mo'atabar to na thā
mere anjām unheñ fareb na de
kam-basar thā maiñ kam-nazar to na thā
kam to pahle bhī the na ahl-e-junūñ
lekin ab tak junūñ hunar to na thā
apnī har ḳhud-supurdagī kī qasam
maiñ jahāñ thā vo merā ghar to na thā
ham the rāheñ tarāshne ke liye
shāmil is farz meñ safar to na thā
saa.e logoñ ke sar pe kis ne kiye
duur tak ek bhī shajar to na thā
ḳhaak par gir ke miT gayā āḳhir
ashk phir ashk thā guhar to na thā
vādī-e-marg kyoñ adam Thahrī
zindagī se vahāñ mafar to na thā
vaqt kī baat hai miyāñ 'hairat'
dil lagāne meñ aisā Dar to na thā
kisi nashshe se beshtar to na tha
rishta-e-gham bhi mo'atabar to na tha
mere anjam unhen fareb na de
kam-basar tha main kam-nazar to na tha
kam to pahle bhi the na ahl-e-junun
lekin ab tak junun hunar to na tha
apni har KHud-supurdagi ki qasam
main jahan tha wo mera ghar to na tha
hum the rahen tarashne ke liye
shamil is farz mein safar to na tha
sae logon ke sar pe kis ne kiye
dur tak ek bhi shajar to na tha
KHak par gir ke miT gaya aaKHir
ashk phir ashk tha guhar to na tha
wadi-e-marg kyon adam Thahri
zindagi se wahan mafar to na tha
waqt ki baat hai miyan 'hairat'
dil lagane mein aisa Dar to na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.