kisi nazar ko tera intizar aaj bhi hai
kisī nazar ko tirā intizār aaj bhī hai
kahāñ ho tum ki ye dil be-qarār aaj bhī hai
vo vādiyāñ vo fazā.eñ ki ham mile the jahāñ
mirī vafā kā vahīñ par mazār aaj bhī hai
na jaane dekh ke kyoñ un ko ye huā ehsās
ki mere dil pe unheñ iḳhtiyār aaj bhī hai
vo pyaar jis ke liye ham ne chhoḌ dī duniyā
vafā kī raah meñ ghāyal vo pyaar aaj bhī hai
yaqīñ nahīñ hai magar aaj bhī ye lagtā hai
mirī talāsh meñ shāyad bahār aaj bhī hai
na pūchh kitne mohabbat ke zaḳhm khaa.e haiñ
ki jin ko soch ke din sogvār aaj bhī hai
kisi nazar ko tera intizar aaj bhi hai
kahan ho tum ki ye dil be-qarar aaj bhi hai
wo wadiyan wo fazaen ki hum mile the jahan
meri wafa ka wahin par mazar aaj bhi hai
na jaane dekh ke kyon un ko ye hua ehsas
ki mere dil pe unhen iKHtiyar aaj bhi hai
wo pyar jis ke liye hum ne chhoD di duniya
wafa ki rah mein ghayal wo pyar aaj bhi hai
yaqin nahin hai magar aaj bhi ye lagta hai
meri talash mein shayad bahaar aaj bhi hai
na puchh kitne mohabbat ke zaKHm khae hain
ki jin ko soch ke din sogwar aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.