kisi nazar mein kisi baam par sitara nahin
kisī nazar meñ kisī baam par sitārā nahīñ
ye kaisī shab hai koī mo'atabar sitārā nahīñ
fazā kā rang vahī hai jo aap dekhte haiñ
ye apnī aañkh chamaktī hai sir sitārā nahīñ
vo aañkh band hai aur rāste nahīñ khulte
bhaTakte phiriye nishān-e-safar sitārā nahīñ
siyāh shab meñ chamaktā huuñ jis tarah se 'kumār'
mire ḳhamīr meñ kyā hai agar sitārā nahīñ
kisi nazar mein kisi baam par sitara nahin
ye kaisi shab hai koi mo'atabar sitara nahin
faza ka rang wahi hai jo aap dekhte hain
ye apni aankh chamakti hai sir sitara nahin
wo aankh band hai aur raste nahin khulte
bhaTakte phiriye nishan-e-safar sitara nahin
siyah shab mein chamakta hun jis tarah se 'kumar'
mere KHamir mein kya hai agar sitara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.