kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de
kisī nazar meñ samā.ūñ vo valvala bhī de
nikhār baḳhshā hai tū ne to ā.īna bhī de
tamām lafz hī ḳhāmosh maslahat ke shikār
zabān dī hai to kahne kā hausla bhī de
gumān-o-vaham ke mābain thak ke baiTh gayā
kahāñ talāsh karūñ kuchh atā-patā bhī de
nafas nafas kī aziyyat se baat kyā bantī
mire aziiz mujhe zaḳhm-e-jāñ-fazā bhī de
charāġh aise añdheroñ meñ saath deñ kab tak
safar hī shart agar hai to rāsta bhī de
mirā ḳhulūs tire makr-o-fan se haar gayā
kahāñ azāb-e-mukarrar mujhe haTā bhī de
kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de
nikhaar baKHsha hai tu ne to aaina bhi de
tamam lafz hi KHamosh maslahat ke shikar
zaban di hai to kahne ka hausla bhi de
guman-o-waham ke mabain thak ke baiTh gaya
kahan talash karun kuchh ata-pata bhi de
nafas nafas ki aziyyat se baat kya banti
mere aziz mujhe zaKHm-e-jaan-faza bhi de
charagh aise andheron mein sath den kab tak
safar hi shart agar hai to rasta bhi de
mera KHulus tere makr-o-fan se haar gaya
kahan azab-e-mukarrar mujhe haTa bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.