kisi ne aisa tilism-e-yaqin nahin dekha
kisī ne aisā tilism-e-yaqīñ nahīñ dekhā
ki is ke baa'd use phir kahīñ nahīñ dekhā
ye kis ne dasht kī tasvīr aañkh meñ rakh dī
sukūt aisā barahna-nashīñ nahīñ dekhā
sarā-e-shab meñ jo Thahre the kyā hue āḳhir
ġhubār-e-rāh dam-e-vāpsīñ nahīñ dekhā
sitāre TuuT ke girte the jā-namāz pe raat
ki aisā arsh ne sāhib-jabīñ nahīñ dekhā
bas itnā yaad hai maqtal se koī guzrā hai
lahū se tar thī mirī āstīñ nahīñ dekhā
kisi ne aisa tilism-e-yaqin nahin dekha
ki is ke ba'd use phir kahin nahin dekha
ye kis ne dasht ki taswir aankh mein rakh di
sukut aisa barahna-nashin nahin dekha
sara-e-shab mein jo Thahre the kya hue aaKHir
ghubar-e-rah dam-e-wapsin nahin dekha
sitare TuT ke girte the ja-namaz pe raat
ki aisa arsh ne sahib-jabin nahin dekha
bas itna yaad hai maqtal se koi guzra hai
lahu se tar thi meri aastin nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.