kisi ne bheja hai KHat pyar aur wafa likh kar
kisī ne bhejā hai ḳhat pyaar aur vafā likh kar
qalam se kaam diyā hai mujhe ḳhudā likh kar
faqat salām hī likhtā thā peḌ ko ḳhat meñ
maiñ aaj ḳhush huuñ bahut phuul ko duā likh kar
mujhe bachā ke na kar adl kā lahū ai dost
qalam ko toḌ mirī maut kī sazā likh kar
mujhe charāġhoñ ke bujhne kā ġham to hai lekin
mirā zamīr hai zinda tujhe havā likh kar
tum āsmāñ ko agar likh sako zamīn to phir
girā do mujh ko mire fan pe tabsira likh kar
kisi ne bheja hai KHat pyar aur wafa likh kar
qalam se kaam diya hai mujhe KHuda likh kar
faqat salam hi likhta tha peD ko KHat mein
main aaj KHush hun bahut phul ko dua likh kar
mujhe bacha ke na kar adl ka lahu ai dost
qalam ko toD meri maut ki saza likh kar
mujhe charaghon ke bujhne ka gham to hai lekin
mera zamir hai zinda tujhe hawa likh kar
tum aasman ko agar likh sako zamin to phir
gira do mujh ko mere fan pe tabsira likh kar
- Book : Pehchan (Pg. 51)
- Author : Ateeq Anzar
- Publication : Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.