kisi ne bhi na meri Thik tarjumani ki
kisī ne bhī na merī Thiik tarjumānī kī
dhuāñ dhuāñ hai fazā merī har kahānī kī
chalo nikālo mire paañv meñ chubhā taara
zamīñ kī sat.h tumhīñ ne to āsmānī kī
gunāh-e-ishq kiyā aur koī sazā na huī
zarūr tum ne subūtoñ se chheḌḳhānī kī
tirā ḳhayāl huā canvas pe mehmāñ kal
tamām rañgoñ ne mil kar ke mezbānī kī
kisi ne bhi na meri Thik tarjumani ki
dhuan dhuan hai faza meri har kahani ki
chalo nikalo mere panw mein chubha tara
zamin ki sath tumhin ne to aasmani ki
gunah-e-ishq kiya aur koi saza na hui
zarur tum ne subuton se chheDKHani ki
tera KHayal hua canwas pe mehman kal
tamam rangon ne mil kar ke mezbani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.