kisi ne bhi to na dekha nigah bhar ke mujhe
kisī ne bhī to na dekhā nigāh bhar ke mujhe
gayā phir aaj kā din bhī udaas kar ke mujhe
sabā bhī laa.ī na koī payām apnoñ kā
sunā rahī hai fasāne idhar udhar ke mujhe
muaaf kiije jo maiñ ajnabī huuñ mahfil meñ
ki rāste nahīñ ma.alūm is nagar ke mujhe
vo dard hai ki jise sah sakūñ na kah pā.ūñ
milegā chain to ab jaan se guzar ke mujhe
kisi ne bhi to na dekha nigah bhar ke mujhe
gaya phir aaj ka din bhi udas kar ke mujhe
saba bhi lai na koi payam apnon ka
suna rahi hai fasane idhar udhar ke mujhe
muaf kije jo main ajnabi hun mahfil mein
ki raste nahin malum is nagar ke mujhe
wo dard hai ki jise sah sakun na kah paun
milega chain to ab jaan se guzar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.