kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko
kisī ne chehre pe bikhrā liyā thā zulfoñ ko
zarā sī baat thī bas le uḌe haiñ dīvāne
ye phuul khilte haiñ gulzār meñ ki parde se
baḌhā ke haath koī de rahā hai paimāne
huī hai bā.is-e-tuġhyān-e-ishq garmi-e-husn
jale na sham.a to kyuuñ ghir ke aa.eñ parvāne
jahān jin se thā ik bazm nā-o-nosh tamām
kahāñ vo bāda-gusār ab kahāñ vo maiḳhāne
jo aql vaale haiñ chalte haiñ apnī apnī raah
sab ik ravish pe chale jā rahe haiñ dīvāne
nahīñ hai farq koī nuur aur zulmat meñ
havās gum haiñ vo palTā liyā hai duniyā ne
chamak uTheñ to mah-o-mahr ko bhī kar deñ maañd
vo zarre god meñ apnī liye haiñ vīrāne
kisī ke tiir lage siine meñ ḳhudā na kare
hamāre dil meñ hai kyā dard koī kyā jaane
hamāre vāste saaqī piyāla-o-ḳhum ek
chhalak chaleñ jo vo hote haiñ aur paimāne
ḳhudā samajhne se āḳhir bachā liyā mujh ko
hazār shukr mire aib tum ne pahchāne
hai dil meñ aag to āñkhoñ meñ lāla-zār 'jigar'
nigāh-e-nāz ke andāz koī kyā jaane
kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko
zara si baat thi bas le uDe hain diwane
ye phul khilte hain gulzar mein ki parde se
baDha ke hath koi de raha hai paimane
hui hai bais-e-tughyan-e-ishq garmi-e-husn
jale na shama to kyun ghir ke aaen parwane
jahan jin se tha ek bazm na-o-nosh tamam
kahan wo baada-gusar ab kahan wo maiKHane
jo aql wale hain chalte hain apni apni rah
sab ek rawish pe chale ja rahe hain diwane
nahin hai farq koi nur aur zulmat mein
hawas gum hain wo palTa liya hai duniya ne
chamak uThen to mah-o-mahr ko bhi kar den mand
wo zarre god mein apni liye hain virane
kisi ke tir lage sine mein KHuda na kare
hamare dil mein hai kya dard koi kya jaane
hamare waste saqi piyala-o-KHum ek
chhalak chalen jo wo hote hain aur paimane
KHuda samajhne se aaKHir bacha liya mujh ko
hazar shukr mere aib tum ne pahchane
hai dil mein aag to aankhon mein lala-zar 'jigar'
nigah-e-naz ke andaz koi kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.