kisi ne dur se dekha koi qarib aaya
kisī ne duur se dekhā koī qarīb aayā
amiir shahr meñ jab bhī koī ġharīb aayā
havā meñ zahr ghulā pāniyoñ meñ aag lagī
tumhāre baa'd zamāna baḌā 'ajīb aayā
burīda-dast barahna-badan shikasta-pā
tire dayār meñ kyā kyā na bad-nasīb aayā
kisī ko ab na satā.egī marg-e-nā-mālūm
charāġh-e-dār jale mausam-e-salīb aayā
baras mahīnoñ meñ hafte dinoñ meñ Dhalne lage
jo 'rām' daur thā vo vaqt ab qarīb aayā
kisi ne dur se dekha koi qarib aaya
amir shahr mein jab bhi koi gharib aaya
hawa mein zahr ghula paniyon mein aag lagi
tumhaare ba'd zamana baDa 'ajib aaya
burida-dast barahna-badan shikasta-pa
tere dayar mein kya kya na bad-nasib aaya
kisi ko ab na sataegi marg-e-na-malum
charagh-e-dar jale mausam-e-salib aaya
baras mahinon mein hafte dinon mein Dhalne lage
jo 'ram' daur tha wo waqt ab qarib aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.