kisi ne gham nahin samjha hamara
kisī ne ġham nahīñ samjhā hamārā
muqaddar khā gayā sapnā hamārā
hamesha se safar pe haiñ akele
yaqīnan hai kaThin rastā hamārā
udāsī saath rahtī hai hamāre
dukhoñ se hai bharā qissa hamārā
abhī tak yaad haiñ bāteñ purānī
abhī tak zaḳhm hai taazā hamārā
kisi ne gham nahin samjha hamara
muqaddar kha gaya sapna hamara
hamesha se safar pe hain akele
yaqinan hai kaThin rasta hamara
udasi sath rahti hai hamare
dukhon se hai bhara qissa hamara
abhi tak yaad hain baaten purani
abhi tak zaKHm hai taza hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.