kisi ne KHat mein mere dost hai likha mujhko
kisi ne KHat mein mere dost hai likha mujhko
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
kisī ne ḳhat meñ mere dost hai likhā mujh ko
tum apne aap se karnā nahīñ judā mujh ko
nazar meñ apne hī maiñ aaj girne vaalā thā
ḳhudā kā shukr hai us ne bachā liyā mujh ko
bhaTak rahā huuñ zamāne meñ dar-ba-dar kab se
koī dikhā de zarā ab to rāsta mujh ko
davā se terī nahīñ fā.eda huā kuchh bhī
du'ā ke zariye hī degā shifā ḳhudā mujh ko
samajh rahā hai sitamgar na jaane kyā mujh ko
dikhā rahā hai zamāna jo aa.ina mujh ko
kisi ne KHat mein mere dost hai likha mujh ko
tum apne aap se karna nahin juda mujh ko
nazar mein apne hi main aaj girne wala tha
KHuda ka shukr hai us ne bacha liya mujh ko
bhaTak raha hun zamane mein dar-ba-dar kab se
koi dikha de zara ab to rasta mujh ko
dawa se teri nahin faeda hua kuchh bhi
du'a ke zariye hi dega shifa KHuda mujh ko
samajh raha hai sitamgar na jaane kya mujh ko
dikha raha hai zamana jo aaina mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.