kisi ne pakDa daman aur kisi ne aastin pakDi
kisī ne pakḌā dāman aur kisī ne āstīñ pakḌī
na uTThā maiñ hī us kūche se ye maiñ ne zamīñ pakḌī
ḳhudā shāhid hai dil par choT sī ik lag ga.ī mere
bahānā dard-e-sar kā kar ke jab us ne jabīñ pakḌī
sivā un ke na kahnā aur se aafat na kuchh aa.e
na jaane baat merī qāsidā shāyad kahīñ pakḌī
bhalā ab mujh se chhuTtā hai kahīñ us shoḳh kā chaskā
ye kyā hai chheḌ merī har ghaḌī kī ham-nashīñ pakḌī
ġhazab haiñ aap bhī maiñ ne to tum se kaan pakḌā hai
huā jab kuchh maiñ kahne ko zabāñ merī vahīñ pakḌī
ye qismat vasl kī shab sub.h tak takrār meñ guzrī
idhar kuchh maiñ ne zid pakḌī udhar us ne ''nahīñ'' pakḌī
mujhe Dasvāo ik mār-e-siyah se ye sazā diije
jafā kī apne sāhib kī jo zulf-e-ambarīñ pakḌī
ḳhudā ke fazl se aisī tabī.at hai 'nizām' apnī
ġhazal dam meñ kahī fazl-e-ḳhudā se jo zamīñ pakḌī
kisi ne pakDa daman aur kisi ne aastin pakDi
na uTTha main hi us kuche se ye main ne zamin pakDi
KHuda shahid hai dil par choT si ek lag gai mere
bahana dard-e-sar ka kar ke jab us ne jabin pakDi
siwa un ke na kahna aur se aafat na kuchh aae
na jaane baat meri qasida shayad kahin pakDi
bhala ab mujh se chhuTta hai kahin us shoKH ka chaska
ye kya hai chheD meri har ghaDi ki ham-nashin pakDi
ghazab hain aap bhi main ne to tum se kan pakDa hai
hua jab kuchh main kahne ko zaban meri wahin pakDi
ye qismat wasl ki shab subh tak takrar mein guzri
idhar kuchh main ne zid pakDi udhar us ne nahin pakDi
mujhe Daswao ek mar-e-siyah se ye saza dije
jafa ki apne sahib ki jo zulf-e-ambarin pakDi
KHuda ke fazl se aisi tabiat hai 'nizam' apni
ghazal dam mein kahi fazl-e-KHuda se jo zamin pakDi
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 318)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.