kisi ne teri surat dekh li hai
kisī ne terī sūrat dekh lī hai
yahī samjho qayāmat dekh lī hai
abhī anjām-e-dil ma.alūm kyā hai
ajī tum ne to aafat dekh lī hai
ki iizā hijr kī dekhī kahāñ thī
faqat terī badaulat dekh lī hai
churātā hai vo kāfir aañkh mujh se
nigāh-e-chashm-e-hasrat dekh lī hai
sharāfat aaj ham ne tark kar dī
zamāne kī sharāfat dekh lī hai
zarā shikva kiyā thā aaj un se
are ulTī nadāmat dekh lī hai
sambhal jaao miyāñ 'zuhaib' tum bhī
tumhārī sab ne aadat dekh lī hai
kisi ne teri surat dekh li hai
yahi samjho qayamat dekh li hai
abhi anjam-e-dil malum kya hai
aji tum ne to aafat dekh li hai
ki iza hijr ki dekhi kahan thi
faqat teri badaulat dekh li hai
churaata hai wo kafir aankh mujh se
nigah-e-chashm-e-hasrat dekh li hai
sharafat aaj hum ne tark kar di
zamane ki sharafat dekh li hai
zara shikwa kiya tha aaj un se
are ulTi nadamat dekh li hai
sambhal jao miyan 'zuhaib' tum bhi
tumhaari sab ne aadat dekh li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.