kisi pari ke KHayalon mein raqs karte rahe
kisī parī ke ḳhayāloñ meñ raqs karte rahe
hamārī aañkh se aañsū nikal ke uḌte rahe
ham aise patte anā-zād bhī balā ke the
bahār rut meñ daraḳhtoñ se laḌ ke jhaḌte rahe
kisī ke lafz gire ābshār ke mānind
hamāre dil meñ musalsal shigāf paḌte rahe
kisī ko māñgne aa.ī thī minnatoñ se koī
ka.ī faqīr mazāroñ pe sar paTaḳhte rahe
hamārī niiñd na-jāne kahāñ bhaTaktī rahī
hamāre ḳhvāb hamāre liye taḌapte rahe
tumhāre ba.ad maiñ hañstā rahā magar yāram
tumhāre ba.ad to dushman bhī ro ke milte rahe
ab un ko log 'hasan' shesh-nāg kahte haiñ
jo ek arsa mirī āstīñ meñ palte rahe
kisi pari ke KHayalon mein raqs karte rahe
hamari aankh se aansu nikal ke uDte rahe
hum aise patte ana-zad bhi bala ke the
bahaar rut mein daraKHton se laD ke jhaDte rahe
kisi ke lafz gire aabshaar ke manind
hamare dil mein musalsal shigaf paDte rahe
kisi ko mangne aai thi minnaton se koi
kai faqir mazaron pe sar paTaKHte rahe
hamari nind na-jaane kahan bhaTakti rahi
hamare KHwab hamare liye taDapte rahe
tumhaare baad main hansta raha magar yaram
tumhaare baad to dushman bhi ro ke milte rahe
ab un ko log 'hasan' shesh-nag kahte hain
jo ek arsa meri aastin mein palte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.