kisi patthar ko chaha hai ye dil kaisa diwana hai
kisī patthar ko chāhā hai ye dil kaisā divānā hai
mohabbat hai ise us se jise chāhe zamāna hai
karūñ āñkheñ jo apnī band dikh chehra vo jaatā hai
na chhūTegā kabhī mar ke bhī ye rishta purānā hai
mere marne ke haiñ jhagḌe to mujh ko mar hī jaane do
merī hī ġhalatī hai saarī yahī us kā bahāna hai
do motī dekhe haiñ maiñ ne bichhaḌte us kī āñkhoñ se
sitāre jo judā haiñ chāñd se un ko churānā hai
binā bole vo mujh se har laḌā.ī jiit jaatā hai
na hai talvār na ḳhanjar magar jaañ ko bachānā hai
vo merī qabr pe aayā magar kis haq se aayā hai
chaman barbād kar ke ab charāġhoñ ko bujhānā hai
kuaañ thā paas 'qāsid' phir bhī maiñ pyāsā hī lauTā huuñ
use meñ pī nahīñ saktā magar ḳhud ko Dubānā hai
kisi patthar ko chaha hai ye dil kaisa diwana hai
mohabbat hai ise us se jise chahe zamana hai
karun aankhen jo apni band dikh chehra wo jata hai
na chhuTega kabhi mar ke bhi ye rishta purana hai
mere marne ke hain jhagDe to mujh ko mar hi jaane do
meri hi ghalati hai sari yahi us ka bahana hai
do moti dekhe hain main ne bichhaDte us ki aankhon se
sitare jo juda hain chand se un ko churana hai
bina bole wo mujh se har laDai jit jata hai
na hai talwar na KHanjar magar jaan ko bachana hai
wo meri qabr pe aaya magar kis haq se aaya hai
chaman barbaad kar ke ab charaghon ko bujhana hai
kuan tha pas 'qasid' phir bhi main pyasa hi lauTa hun
use mein pi nahin sakta magar KHud ko Dubana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.