kisi riwaj kisi rasm ke qafas mein nahin hum
kisi riwaj kisi rasm ke qafas mein nahin hum
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
kisī rivāj kisī rasm ke qafas meñ nahīñ ham
tumhārī tarah zamāne kī dastaras meñ nahīñ ham
anā ke ġhaar meñ juz zulmatoñ ke kuchh nahīñ hotā
ḳhabar ye rakhte hue bhī ḳhud apne bas meñ nahīñ ham
taġhayyurāt-e-zamāna se sab hue muta.assir
hamārī raah vahī hai ki pesh-o-pas meñ nahīñ ham
qadam-qadam pa yahāñ ḳhairiyat haiñ pūchhne vaale
ḳhushā-fareb samajhte haiñ ḳhār-o-ḳhas meñ nahīñ ham
kisi riwaj kisi rasm ke qafas mein nahin hum
tumhaari tarah zamane ki dastaras mein nahin hum
ana ke ghaar mein juz zulmaton ke kuchh nahin hota
KHabar ye rakhte hue bhi KHud apne bas mein nahin hum
taghayyuraat-e-zamana se sab hue mutassir
hamari rah wahi hai ki pesh-o-pas mein nahin hum
qadam-qadam pa yahan KHairiyat hain puchhne wale
KHusha-fareb samajhte hain KHar-o-KHas mein nahin hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.