kisi sanche mein Dhal nahin pati
kisi sanche mein Dhal nahin pati
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
kisī sāñche meñ Dhal nahīñ paatī
zindagī kyoñ sambhal nahīñ paatī
nā-gahānī kā ḳhauf aisā hai
koī ummīd pal nahīñ paatī
barsahā se mire firāq meñ hai
phir bhī mujh ko ajal nahīñ aatī
duur aiThan kī to hai baat kujā
mujh se rassī bhī jal nahīñ paatī
us ne achchhā kiyā kināra kiyā
duur tak maiñ bhī chal nahīñ paatī
nik.hat-e-gul kī kyā tavaqqo ho
jab kalī koī khil nahīñ paatī
kisi sanche mein Dhal nahin pati
zindagi kyon sambhal nahin pati
na-gahani ka KHauf aisa hai
koi ummid pal nahin pati
barsaha se mere firaq mein hai
phir bhi mujh ko ajal nahin aati
dur aiThan ki to hai baat kuja
mujh se rassi bhi jal nahin pati
us ne achchha kiya kinara kiya
dur tak main bhi chal nahin pati
nikhat-e-gul ki kya tawaqqo ho
jab kali koi khil nahin pati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.