kisi sada kisi jurat kisi nazar ke liye
kisī sadā kisī jur.at kisī nazar ke liye
ye lamha fikr kā lamha hai har bashar ke liye
na qāfila thā na zād-e-safar na saaya koī
hamāre saath to kuchh bhī na thā safar ke liye
koī kiran to añdheroñ ko chiir kar nikle
taras rahī haiñ nigāheñ na.ī sahar ke liye
kisi sada kisi jurat kisi nazar ke liye
ye lamha fikr ka lamha hai har bashar ke liye
na qafila tha na zad-e-safar na saya koi
hamare sath to kuchh bhi na tha safar ke liye
koi kiran to andheron ko chir kar nikle
taras rahi hain nigahen nai sahar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.