kisi sahife ke jaisa hua hai nam tera
kisī sahīfe ke jaisā huā hai naam tirā
ḳhudā ne ham pe utārā huā hai naam tirā
vahī zamāna jo guzrā bataur-e-ahd-e-vafā
usī zamāne se badlā huā hai naam tirā
yahāñ nahīñ hai zarūrat gulāb rakhne kī
mirī kitāb meñ likkhā huā hai naam tirā
hamāre dil kī tarah vo bhī khil uThī hogī
vo shāḳh jis pe tarāshā huā hai naam tirā
badalte dekhtā huuñ haath kī lakīroñ ko
ki is pe ḳhuun se likkhā huā hai naam tirā
isī liye to mahakte haiñ ḳhvāb-o-ḳhvāhish bhī
ki dil ke dasht pe barsā huā hai naam tirā
tamām shahr kī nazreñ usī pe haiñ 'adnān'
ki jis ke naam pe rakkhā huā hai naam tirā
kisi sahife ke jaisa hua hai nam tera
KHuda ne hum pe utara hua hai nam tera
wahi zamana jo guzra bataur-e-ahd-e-wafa
usi zamane se badla hua hai nam tera
yahan nahin hai zarurat gulab rakhne ki
meri kitab mein likkha hua hai nam tera
hamare dil ki tarah wo bhi khil uThi hogi
wo shaKH jis pe tarasha hua hai nam tera
badalte dekhta hun hath ki lakiron ko
ki is pe KHun se likkha hua hai nam tera
isi liye to mahakte hain KHwab-o-KHwahish bhi
ki dil ke dasht pe barsa hua hai nam tera
tamam shahr ki nazren usi pe hain 'adnan'
ki jis ke nam pe rakkha hua hai nam tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.