kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo
kisī se ahd-o-paimāñ kar na rahiyo
to us bastī meñ rahiyo par na rahiyo
safar karnā hai āḳhir do palak biich
safar lambā hai be bistar na rahiyo
har ik hālat ke berī haiñ ye lamhe
kisī ġham ke bharose par na rahiyo
suhūlat se guzar jaao mirī jaañ
kahīñ jiine kī ḳhātir mar na rahiyo
hamārā umr-bhar kā saath Therā
so mere saath tū din-bhar na rahiyo
bahut dushvār ho jā.egā jiinā
yahāñ to zaat ke andar na rahiyo
savere hī se ghar ājā.iyo aaj
hai roz-e-vāqi.a bāhar na rahiyo
kahīñ chhup jaao tah ḳhānoñ meñ jā kar
shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo
nazar par baar ho jaate haiñ manzar
jahāñ rahiyo vahāñ aksar na rahiyo
kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo
to us basti mein rahiyo par na rahiyo
safar karna hai aaKHir do palak bich
safar lamba hai be bistar na rahiyo
har ek haalat ke beri hain ye lamhe
kisi gham ke bharose par na rahiyo
suhulat se guzar jao meri jaan
kahin jine ki KHatir mar na rahiyo
hamara umr-bhar ka sath Thera
so mere sath tu din-bhar na rahiyo
bahut dushwar ho jaega jina
yahan to zat ke andar na rahiyo
sawere hi se ghar aajaiyo aaj
hai roz-e-waqia bahar na rahiyo
kahin chhup jao tah KHanon mein ja kar
shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo
nazar par bar ho jate hain manzar
jahan rahiyo wahan aksar na rahiyo
- Shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.