kisi se ai dil-e-nadan jo pyar karna hai
kisī se ai dil-e-nādāñ jo pyaar karnā hai
to zabt kī tumheñ har had ko paar karnā hai
kisī amiir kī ulfat se kyā milegā mujhe
ġharīb huuñ to ġharīboñ se pyaar karnā hai
har ek dil meñ jalā do mohabbatoñ ke charāġh
vatan ko apne agar pur-bahār karnā hai
amīr-e-shahr banātā hai roz mansūbe
kise zalīl kise pur-vaqār karnā hai
tamām shahr ke dil meñ basā de pyaar mirā
mire ḳhudā jo mujhe tājdār karnā hai
lagā rahe ho jo pābandiyāñ mohabbat par
ye jurm hai to hameñ baar baar karnā hai
zabāñ se us kī adā ho jo baat ai 'rizvāñ'
durust ho ki ġhalat e'tibār karnā hai
kisi se ai dil-e-nadan jo pyar karna hai
to zabt ki tumhein har had ko par karna hai
kisi amir ki ulfat se kya milega mujhe
gharib hun to gharibon se pyar karna hai
har ek dil mein jala do mohabbaton ke charagh
watan ko apne agar pur-bahaar karna hai
amir-e-shahr banata hai roz mansube
kise zalil kise pur-waqar karna hai
tamam shahr ke dil mein basa de pyar mera
mere KHuda jo mujhe tajdar karna hai
laga rahe ho jo pabandiyan mohabbat par
ye jurm hai to hamein bar bar karna hai
zaban se us ki ada ho jo baat ai 'rizwan'
durust ho ki ghalat e'tibar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.