kisi se bhik mein zad-e-safar nahin leta
kisī se bhiik meñ zād-e-safar nahīñ letā
maiñ chīḳh chīḳh ke dād-e-hunar nahīñ letā
mirā nasīb hai ḳhāna-badoshiyāñ merī
kahīñ bhī jā.ūñ kirā.e kā ghar nahīñ letā
har ek jang meñ vo kāmyāb hotā hai
zahīn haath meñ teġh-o-tabar nahīñ letā
maiñ apnī zau se ugātā huuñ chāñd aur taare
havā.eñ laakh chaleñ maiñ asar nahīñ letā
pata nahīñ hai ki kis haal meñ kahāñ huuñ maiñ
ka.ī dinoñ se maiñ apnī ḳhabar nahīñ letā
kisi se bhik mein zad-e-safar nahin leta
main chiKH chiKH ke dad-e-hunar nahin leta
mera nasib hai KHana-badoshiyan meri
kahin bhi jaun kirae ka ghar nahin leta
har ek jang mein wo kaamyab hota hai
zahin hath mein tegh-o-tabar nahin leta
main apni zau se ugata hun chand aur tare
hawaen lakh chalen main asar nahin leta
pata nahin hai ki kis haal mein kahan hun main
kai dinon se main apni KHabar nahin leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.