kisi se dushmani ki aur na yari
kisi se dushmani ki aur na yari
Shahjahan Jafri Hijab Amrohvi
MORE BYShahjahan Jafri Hijab Amrohvi
kisī se dushmanī kī aur na yaarī
adhūrī zindagī ham ne guzārī
na manzar koī āñkhoñ meñ basāyā
na ḳhushbū koī sāñsoñ meñ utārī
duā ke lafz kankar ban ga.e haiñ
mire andar hai kaisī sangsārī
shahar kī raunaqeñ achchhī bahut haiñ
par apne ghar kī vīrānī hai pyārī
vahī to jiit kā ehsās hai ik
jo baazī jaan kar ham ne hai haarī
hameñ ḳhadsha thā jis ke Dūbne kā
usī ne naav sab kī paar utārī
alaav jal rahe haiñ andar andar
huī bāhar hai shāyad barf-bārī
'hijāb' aayā thā dil meñ dhīre dhīre
magar yak-laḳht aa.ī be-qarārī
kisi se dushmani ki aur na yari
adhuri zindagi hum ne guzari
na manzar koi aankhon mein basaya
na KHushbu koi sanson mein utari
dua ke lafz kankar ban gae hain
mere andar hai kaisi sangsari
shahar ki raunaqen achchhi bahut hain
par apne ghar ki virani hai pyari
wahi to jit ka ehsas hai ek
jo bazi jaan kar hum ne hai haari
hamein KHadsha tha jis ke Dubne ka
usi ne naw sab ki par utari
alaw jal rahe hain andar andar
hui bahar hai shayad barf-bari
'hijab' aaya tha dil mein dhire dhire
magar yak-laKHt aai be-qarari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.