kisi se jang kisi se jihad chahte hain
kisī se jang kisī se jihād chāhte haiñ
ḳhudā ke naam pe kyā kyā fasād chāhte haiñ
ye gidh nahīñ ye mire ḳhāndān vaale haiñ
ye merā gosht nahīñ jā.edād chāhte haiñ
kareñge tujh se kabhī ḳhvāb ke tabādale bhī
abhī to sirf tirā e'timād chāhte haiñ
ḳhudā ko ḳhushiyoñ ke aalam meñ pūchhte bhī nahīñ
yahāñ charāġh ko sab din ke baad chāhte haiñ
maiñ be-sabab tujhe milne kā thoḌī kahtā huuñ
numū ke vāste paude bhī khaad chāhte haiñ
akelā maiñ nahīñ misroñ kā mālik-o-ma.abūd
luġhat-navīs bhī lafzoñ se daad chāhte haiñ
ḳhudā ko zahmat-e-kun denī chāhiye 'hamza'
tamām kaun-o-makāñ ijtihād chāhte haiñ
kisi se jang kisi se jihad chahte hain
KHuda ke nam pe kya kya fasad chahte hain
ye gidh nahin ye mere KHandan wale hain
ye mera gosht nahin jaedad chahte hain
karenge tujh se kabhi KHwab ke tabaadale bhi
abhi to sirf tera e'timad chahte hain
KHuda ko KHushiyon ke aalam mein puchhte bhi nahin
yahan charagh ko sab din ke baad chahte hain
main be-sabab tujhe milne ka thoDi kahta hun
numu ke waste paude bhi khad chahte hain
akela main nahin misron ka malik-o-mabud
lughat-nawis bhi lafzon se dad chahte hain
KHuda ko zahmat-e-kun deni chahiye 'hamza'
tamam kaun-o-makan ijtihad chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.