kisi se kaise kahe koi tajraba dil ka
kisī se kaise kahe koī tajraba dil kā
ajiib sāneha hotā hai sāneha dil kā
kahīñ na phūñk deñ sho.ala-badan matā-e-sukūñ
chalā hai shahr-e-nigārāñ ko qāfila dil kā
mah-o-nujūm mirī gard-e-rāh pā na sake
mah-o-nujūm se aage thā hausla dil kā
asīr-e-kākul-e-lāla-ruḳhāñ vo kyā hotā
salīb-o-dār-o-rasan se thā rābta dil kā
vo merī arz-e-tamannā pe tālib-e-jāñ hai
hai ik ajiib sitamgar se vāsta dil kā
ye nukta junūñ hī samajh sake pāshā
bahut tavīl ḳhirad se hai fāsla dil kā
kisi se kaise kahe koi tajraba dil ka
ajib saneha hota hai saneha dil ka
kahin na phunk den shoala-badan mata-e-sukun
chala hai shahr-e-nigaran ko qafila dil ka
mah-o-nujum meri gard-e-rah pa na sake
mah-o-nujum se aage tha hausla dil ka
asir-e-kakul-e-lala-ruKHan wo kya hota
salib-o-dar-o-rasan se tha rabta dil ka
wo meri arz-e-tamanna pe talib-e-jaan hai
hai ek ajib sitamgar se wasta dil ka
ye nukta junun hi samajh sake pasha
bahut tawil KHirad se hai fasla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.