kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai
kisī se ḳhush hai kisī se ḳhafā ḳhafā sā hai
vo shahr meñ abhī shāyad nayā nayā sā hai
na jaane kitne badan vo pahan ke leTā hai
bahut qarīb hai phir bhī chhupā chhupā sā hai
sulagtā shahr nadī ḳhuun kab kī bāteñ haiñ
kahīñ kahīñ se ye qissa sunā sunā sā hai
saroñ ke siiñg to jañgal kī den hote haiñ
vo aadmī to hai lekin Darā Darā sā hai
kuchh aur dhuup to ho os suukh jaane tak
vo peḌ ab ke baras bhī harā harā sā hai
kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai
wo shahr mein abhi shayad naya naya sa hai
na jaane kitne badan wo pahan ke leTa hai
bahut qarib hai phir bhi chhupa chhupa sa hai
sulagta shahr nadi KHun kab ki baaten hain
kahin kahin se ye qissa suna suna sa hai
saron ke sing to jangal ki den hote hain
wo aadmi to hai lekin Dara Dara sa hai
kuchh aur dhup to ho os sukh jaane tak
wo peD ab ke baras bhi hara hara sa hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 200)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.