kisi se KHwab ka charcha na karna
kisī se ḳhvāb kā charchā na karnā
tamannāoñ ko be-pardā na karnā
zamāna laakh bahkā.e magar tum
vafāoñ kā kabhī saudā na karnā
ḳhatāoñ kī sazā āḳhir milegī
rulā.egā use tauba na karnā
bichhaḌte vaqt aañsū rok lenā
tum apne aap ko rusvā na karnā
tumheñ achchhī tarah pahchāntī huuñ
vafā kā mujh se tum va.ada na karnā
kisi se KHwab ka charcha na karna
tamannaon ko be-parda na karna
zamana lakh bahkae magar tum
wafaon ka kabhi sauda na karna
KHataon ki saza aaKHir milegi
rulaega use tauba na karna
bichhaDte waqt aansu rok lena
tum apne aap ko ruswa na karna
tumhein achchhi tarah pahchanti hun
wafa ka mujh se tum wada na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.