kisi se koi na puchhe mizaj kaisa hai
kisī se koī na pūchhe mizāj kaisā hai
tumhārī bazm kā jaane rivāj kaisā hai
kisī tarah bhī na zaḳhm-e-jigar bhare ab tak
na pūchho zaḳhm haiñ kaise ilaaj kaisā hai
sukūñ nasīb nahīñ raushnī meñ hīroñ kī
kisī nasīb meñ hīroñ kā taaj kaisā hai
baḌe ḳhulūs se kal tak gale jo miltā thā
chhupā.e haath meñ ḳhanjar vo aaj kaisā hai
hue samāj meñ paidā samāj ke dushman
jadīd daur kā dekho samāj kaisā hai
pahuñch sakī dar-e-insāf par na jab āvāz
jafā-e-vaqt pe ye ehtijāj kaisā hai
kisi se koi na puchhe mizaj kaisa hai
tumhaari bazm ka jaane riwaj kaisa hai
kisi tarah bhi na zaKHm-e-jigar bhare ab tak
na puchho zaKHm hain kaise ilaj kaisa hai
sukun nasib nahin raushni mein hiron ki
kisi nasib mein hiron ka taj kaisa hai
baDe KHulus se kal tak gale jo milta tha
chhupae hath mein KHanjar wo aaj kaisa hai
hue samaj mein paida samaj ke dushman
jadid daur ka dekho samaj kaisa hai
pahunch saki dar-e-insaf par na jab aawaz
jafa-e-waqt pe ye ehtijaj kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.