kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
kisī se kyā kaheñ suneñ agar ġhubār ho ga.e
hamīñ havā kī zad meñ the hamīñ shikār ho ga.e
siyāh dasht ḳhaar se kahāñ do-chār ho ga.e
ki shauq-e-pairahan tamām taar taar ho ga.e
yahāñ jo dil meñ daaġh thā vahī to ik charāġh thā
vo raat aisā gul huā ki sharmsār ho ga.e
aziiz kyuuñ na jaañ se ho shikast-e-ā.ina hameñ
vahāñ to ek aks thā yahāñ hazār ho ga.e
hameñ to ek umr se paḌī hai apnī jaan kī
abhī jo sāhiloñ pe the kahāñ se paar ho ga.e
kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae
siyah dasht KHar se kahan do-chaar ho gae
ki shauq-e-pairahan tamam tar tar ho gae
yahan jo dil mein dagh tha wahi to ek charagh tha
wo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae
aziz kyun na jaan se ho shikast-e-aina hamein
wahan to ek aks tha yahan hazar ho gae
hamein to ek umr se paDi hai apni jaan ki
abhi jo sahilon pe the kahan se par ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.