kisi se pyar kar le ya kisi se pyar ho jae
kisī se pyaar kar le yā kisī se pyaar ho jaa.e
yahī āzār hai to phir mujhe āzār ho jaa.e
rasīle hoñT gadrāyā badan aur chashm-e-ḳhvābīda
koī dekhe use to be-piye sarshār ho jaa.e
yahī āzādī-e-iz.hār kā matlab hai kyā logo
zabāñ tirshūl ho jaa.e qalam talvār ho jaa.e
yahī rasm-e-mohabbat hai isī meñ lutf aatā hai
kabhī inkār ho jaa.e kabhī iqrār ho jaa.e
munāfiq kā yahī tarz-e-'amal pahchān hai us kī
kabhī is paar ho jaa.e kabhī us paar ho jaa.e
tabassum us ke hoñToñ kā bahāroñ kī amānat hai
vo hañs de to bayābāñ bhī gul-o-gulzār ho jaa.e
maiñ apnā istiġhāsa le ke jā.ūñ kis 'adālat meñ
agar dil hī asīr-e-gesū-e-ḳham-dār ho jaa.e
matā-e-dil ke luTne kā gila kis se kareñ jā kar
koī qazzāq hī jab qāfila-sālār ho jaa.e
'suhaib' apnī du'āoñ meñ yahī ik vird kartā hai
jo insāñ haiñ unheñ insāniyat se pyaar ho jaa.e
kisi se pyar kar le ya kisi se pyar ho jae
yahi aazar hai to phir mujhe aazar ho jae
rasile honT gadraya badan aur chashm-e-KHwabida
koi dekhe use to be-piye sarshaar ho jae
yahi aazadi-e-izhaar ka matlab hai kya logo
zaban tirshul ho jae qalam talwar ho jae
yahi rasm-e-mohabbat hai isi mein lutf aata hai
kabhi inkar ho jae kabhi iqrar ho jae
munafiq ka yahi tarz-e-'amal pahchan hai us ki
kabhi is par ho jae kabhi us par ho jae
tabassum us ke honTon ka bahaaron ki amanat hai
wo hans de to bayaban bhi gul-o-gulzar ho jae
main apna istighasa le ke jaun kis 'adalat mein
agar dil hi asir-e-gesu-e-KHam-dar ho jae
mata-e-dil ke luTne ka gila kis se karen ja kar
koi qazzaq hi jab qafila-salar ho jae
'suhaib' apni du'aon mein yahi ek wird karta hai
jo insan hain unhen insaniyat se pyar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.