kisi se pyar nahin sirf pyar jaisa hai
kisī se pyaar nahīñ sirf pyaar jaisā hai
ḳhizāñ ke daur meñ mausam bahār jaisā hai
zarūr qāfila koī yahāñ se guzrā hai
tamām raah meñ gard-o-ġhubār jaisā hai
tumhāre pyaar kā jaadū abhī nahīñ TuuTā
na jaane kis liye ik e.atibār jaisā hai
paḌī hai sab ko yahāñ aabrū bachāne kī
har ek chehra yahāñ qarz-dār jaisā hai
shanāḳht kam huī jaatī hai ādamiyyat kī
har ek zehn pe gard-o-ġhubār jaisā hai
ye vaqt vo hai ki apne dayār meñ 'tābāñ'
har ek shaḳhs ġharīb-ud-dayār jaisā hai
kisi se pyar nahin sirf pyar jaisa hai
KHizan ke daur mein mausam bahaar jaisa hai
zarur qafila koi yahan se guzra hai
tamam rah mein gard-o-ghubar jaisa hai
tumhaare pyar ka jadu abhi nahin TuTa
na jaane kis liye ek eatibar jaisa hai
paDi hai sab ko yahan aabru bachane ki
har ek chehra yahan qarz-dar jaisa hai
shanaKHt kam hui jati hai aadamiyyat ki
har ek zehn pe gard-o-ghubar jaisa hai
ye waqt wo hai ki apne dayar mein 'taban'
har ek shaKHs gharib-ud-dayar jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.