kisi se qarza kabhi bhi nahin liya maine
kisī se qarza kabhī bhī nahīñ liyā maiñ ne
ki merā haal na pūchho ki kyā kiyā maiñ ne
sharāb piine do ġham ko mujhe bhulāne do
jo merā haal hai sab ko batā diyā maiñ ne
qadam qadam pe mujhe log ta.ana dete haiñ
na jaane jurm kyā duniyā meñ kar diyā maiñ ne
kabhī bhī jhuuT kī tā.īd kī nahīñ lekin
hamesha jo bhī kahā hai vo sach kahā maiñ ne
agarche kartā rahā bevafā.ī tū har-dam
magar kabhī na tujhe bevafā kahā maiñ ne
añdherā chhaT gayā is tarah zindagī se 'samar'
charāġh ishq kā dil meñ jalā diyā maiñ ne
kisi se qarza kabhi bhi nahin liya main ne
ki mera haal na puchho ki kya kiya main ne
sharab pine do gham ko mujhe bhulane do
jo mera haal hai sab ko bata diya main ne
qadam qadam pe mujhe log tana dete hain
na jaane jurm kya duniya mein kar diya main ne
kabhi bhi jhuT ki taid ki nahin lekin
hamesha jo bhi kaha hai wo sach kaha main ne
agarche karta raha bewafai tu har-dam
magar kabhi na tujhe bewafa kaha main ne
andhera chhaT gaya is tarah zindagi se 'samar'
charagh ishq ka dil mein jala diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.