kisi se rabta koi nahin hai
kisī se rābta koī nahīñ hai
mujhe kyā jāntā koī nahīñ hai
kise āvāz duuñ kis ko pukārūñ
yahāñ to dūsrā koī nahīñ hai
mirī bāteñ hī lā-yānī haiñ goyā
ki merī māntā koī nahīñ hai
ba-zāhir duur haiñ ik dūsre se
diloñ meñ fāsla koī nahīñ hai
maiñ apne haal meñ jaisā huuñ ḳhush huuñ
kisī kā aasrā koī nahīñ hai
udāsī kā sabab kyā pūchhte ho
udāsī mas.ala koī nahīñ hai
bas ik apne sivā duniyā meñ 'nādir'
sab achchhe haiñ burā koī nahīñ hai
kisi se rabta koi nahin hai
mujhe kya jaanta koi nahin hai
kise aawaz dun kis ko pukarun
yahan to dusra koi nahin hai
meri baaten hi la-yani hain goya
ki meri manta koi nahin hai
ba-zahir dur hain ek dusre se
dilon mein fasla koi nahin hai
main apne haal mein jaisa hun KHush hun
kisi ka aasra koi nahin hai
udasi ka sabab kya puchhte ho
udasi masala koi nahin hai
bas ek apne siwa duniya mein 'nadir'
sab achchhe hain bura koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.